Posts

Goongi Ho Gai Aaj Kuch Zuban Kehte Kehte | Allama Iqbal

Image
Goongi Ho Gai Aaj Kuch Zuban Kehte Kehte Goongi Ho Gai Aaj Kuch Zaban Kehte Kehte Hich-Kichaya Main Khud Ko Musalman Kehte Kehte Yeh Baat Nahi, Mujh Ko Rab Per Yaqin Nahi Bad Darr Gaya Khud Ko Sahib-E-Iman Kehte Kehte Tofeeq Na Hoi Mujh Ko Ek Waqt Ki Namaz Ki Aur Chup Howa Moazin Azaan Kehte Kehte Ksi Kafir Ne Jo Pocha Yeh Kya Hai Mahina Hath Se Pani Gir Gaya Ramzan Kehte Kehte Meri Almari Mein Gard Se Atti Kitab Ka Jo Pocha Main Gadh Gaya Zamin Mein Quran Kehte Kehte Yeh Sun Ke Chup Sadh Li Iqbal Us Ne Youn Laga Ruk Gaya Woh Mujhe Hewan Kehte Kehte ( Allama Iqbal ) Please Subscribe our Youtube Channel, like and  share our videos Youtube Channel Link:     Sher-o-Shayari

Main Unhain Bhula Donga(Full poetry)| Munir Niazi

Image
Jo Mujhe Bhula Dain Ge Main Unhain Bhula Donga Jo Mujhe Bhula Dain Ge Main Unhain Bhula Donga Sab Gharoor Un Ka Main Khak Main Mila Doonga Dekhta Hoon Sab Shaklein, Sun Raha Hoon Sab Baatain Sab Hisab Un Ka Main Aik Din Choka Donga  Roshni Dakhadonga In Andhair Nagroon Main Ik Hawa Ziaun Ki Char So Chla Donga  Be Missal Qaryun K Be Kinar Baghon K  Apne Khawab Logon K Khawab Main Dikhadon Ga Main Munir Jaoonga Aik Din Use Milne Us Ke Darpe Ja Ke Main Aik Din Sada Dongaa                                                             (Munir Niazi) Youtube Link: https://www.youtube.com/watch?v=wmBn0xA0ris

Koi Umeed Bar Nahi Aati (Full Poetry) By Mirza Ghalib

Image
Koi Umeed Bar Nahi Aati Koi Umeed Bar Nahi Aati Koi Soorat Nazar Nahi Aati Moat Ka Aik Din Mo-ayeeyan Hai Neend Kyun Raat Bar Nahi Ati Agay Ati Thi Hal-e-Dil Pe Hansee Ab Kisi Baat Per Nahi Ati Jaanta Hoon Savaab-e-Taa'at-o-Zohad Per Tabiyaat Udher Nahi Ati Hai Kuch Aisee Hai Baat Jo Chup Hoon Warna Kiya Baat Ker Nahi Ati Kiyon Na Cheekhon ke Yaad Kartay Hein Meri Aavaaz gar Nahin Aati Daag-e-dil gar Nazar Nahin Aata Boo bhi ae Chaaraa-gar Nahin Aati Hum Wahan Hain Jahan say Hum Ko Bhi Kuch Hamari Khabar Nahi Ati Martay Hein Arzoo Mein Marnay Ki Moat Ati Hai Per Nahi Ati Kaba Kis Moun say Jao Gay Ghalib Sharam Tum Ko Magar Nahi Ati                                 (Mirza Ghalib)

Zindagi Khaak Na Thi | Naseer Turabi

Image
Zindagi Khaak Na Thi Zindagi Khaak Na Thi Khaak Uratay Guzri Tuj Say Kya Kehty Teray Paas Jo Aaty Guzri Din Jo Guzra Tu Kisi Yaad Ki Ro Main Guzra Shaam Aayi Tu Koi Khawab Dikhaty Guzri Achay Waqton Ki Tamana Main Rahi Umr-E-Rawaan Waqt Aisa Tha Kay Bus Naaz Uthatay Guzri Zindagi Jis Kay Muqadar Mai Ho Khushiyan Teri Usko Aata Hai Nibhana So Nibhatay Guzri Zindagi Naam Udher Hai Kisi Sarshari Ka Aur Udher Door Say Aik Aas Lagaty Guzri Raat Kya Aayi Kay Tanhai Ki Sarghoshi Mai Hoo Ka Aalam Tha Magar Suntay Sunaty Guzri Barha Chonk Si Jaati Hai Musafat Dil Ki Kis Ki Awaz Thi Yeh Kis Ko Bulaty Guzri                                             (Naseer Turabi) Video Link: https://www.youtube.com/watch?v=vLDusRFCm4Y

NAHI TO (Full Poetry) | JAUN ELIA

Image
Nahin To Yeh gham kya dil ki aadat hai! nahin to Kisi sey kuch shikaayat hai! nahin to Hai woh ek khawaab-e-be-taabeer Bhula dena ki neeyat hai! nahin tu Kisi ko bin,kisi ki yaad ke bin Jiye jaane ki himmat hai! nahin to Kisi soorat bhi dil lagta nahin! haan To kuch din se haalat hai !nahin to Tere is haal par hai sub ki hairat Tujhe bhi is pe hairat hai! nahin tu Azeeyat-naak ummeedon sey tujh ko Amaan paaney ki hasrat hai! nahin tu Tu Rehta hai khayaal-o-kawab mein gum To is ki wajah fursat hai! nahin tu Wahaan Waalon sey hai itni muhabbat Yahaan waalon se nafrat hai! nahin tu Sabab jo is judaai k bna hai Woh mujh se khoobsurat hai! nahin to Youtube Link : https://www.youtube.com/watch?v=pLIuYe5q8B0

WOH JO GEET TUM NE SUNA NAHI (Full poetry)| Amjad Islam Amjad

Image
 WOH JO GEET TUM NE SUNA NAHI  Jo Uter K Zeena_E_Sham Say Teri Chashm_E_Ter Mein Sama Gaye Wohe Jaltay Bujhtay Charagh Say Mere Baam_O_Dar Ko Saja Gaye Wo Ajeeb Phool Say Lafz Thay Teray Hont Jin Say Mehak Uthay Meray Sehn_E_Dil Mein Door Tak Kai Baagh_E_Dil Laga Gaye Ye Ajeeb Khail Hai Pyar Ka Main Ne Aap Dekha Ye Mo'ajza Wo Jo Lafz Meray Gumaan Mein Thay Wo Teri Zubaan Pe Aa Gaye Wo Jo Geet Tum Ne Suna Nahi Meri Umer Bhar Ka Raiz Tha Meray Ghum Ki Thi Wo Dastaan Jisay Tum Hansi Mein Urra Gaye                            (Amjad Islam Amjad)          Youtube Link: https://www.youtube.com/watch?v=KbgicC2fuKA

Khamosh Lab Hain Jhuki Hain Palken(Full Poetry) | Shabeena Adeeb

Image
Khamosh Lab Hain Jhuki Hain Palken Khamosh lab hain jhuki hain palken Dilon mai ulfat nayi nayi hai Abhi takaluf hai guftugu mai Abhi muhabbat nayi nayi hai Abhi na ayegi neend tum ko Abhi na hum ko sukoon milega Abhi to dharke ga dil zyada Abhi ye chahat nayi nayi hai Bahaar ka aaj pehla din hai Chalo chaman mai tehel ke ayen Fiza mai khushbo nayi nayi hai Gulon mai rangat nayi nayi hai Jo khandani raees hain wo Mizaaj rakhte hain narm apna Tumhara lehja bata raha hai Tumhari dolat nayi nayi hai Zara sa qudrat ne kya nawaza Ke aake bethe ho pehli saff mai Abhi se urhne lage hawa mai Abhi to shohrat nayi nayi hai                                      (Shabeena Adeeb) YOUTUBE LINK: https://www.youtube.com/watch?v=uO08Yi5f5R8