NAHI TO (Full Poetry) | JAUN ELIA




Nahin To


Yeh gham kya dil ki aadat hai! nahin to
Kisi sey kuch shikaayat hai! nahin to

Hai woh ek khawaab-e-be-taabeer
Bhula dena ki neeyat hai! nahin tu

Kisi ko bin,kisi ki yaad ke bin
Jiye jaane ki himmat hai! nahin to

Kisi soorat bhi dil lagta nahin! haan
To kuch din se haalat hai !nahin to

Tere is haal par hai sub ki hairat
Tujhe bhi is pe hairat hai! nahin tu

Azeeyat-naak ummeedon sey tujh ko
Amaan paaney ki hasrat hai! nahin tu

Tu Rehta hai khayaal-o-kawab mein gum
To is ki wajah fursat hai! nahin tu

Wahaan Waalon sey hai itni muhabbat
Yahaan waalon se nafrat hai! nahin tu

Sabab jo is judaai k bna hai
Woh mujh se khoobsurat hai! nahin to





Comments

Popular posts from this blog

WOH JO GEET TUM NE SUNA NAHI (Full poetry)| Amjad Islam Amjad

Kabhi Mil Tu Tujh Ko Batain Hum (Poetry) | Malik Javed Yousuf Bashir Qureshi