Koi Umeed Bar Nahi Aati (Full Poetry) By Mirza Ghalib


Koi Umeed Bar Nahi Aati


Koi Umeed Bar Nahi Aati
Koi Soorat Nazar Nahi Aati

Moat Ka Aik Din Mo-ayeeyan Hai
Neend Kyun Raat Bar Nahi Ati

Agay Ati Thi Hal-e-Dil Pe Hansee
Ab Kisi Baat Per Nahi Ati

Jaanta Hoon Savaab-e-Taa'at-o-Zohad
Per Tabiyaat Udher Nahi Ati

Hai Kuch Aisee Hai Baat Jo Chup Hoon
Warna Kiya Baat Ker Nahi Ati

Kiyon Na Cheekhon ke Yaad Kartay Hein
Meri Aavaaz gar Nahin Aati

Daag-e-dil gar Nazar Nahin Aata
Boo bhi ae Chaaraa-gar Nahin Aati

Hum Wahan Hain Jahan say Hum Ko Bhi
Kuch Hamari Khabar Nahi Ati

Martay Hein Arzoo Mein Marnay Ki
Moat Ati Hai Per Nahi Ati

Kaba Kis Moun say Jao Gay Ghalib
Sharam Tum Ko Magar Nahi Ati

                                (Mirza Ghalib)

Comments

Popular posts from this blog

NAHI TO (Full Poetry) | JAUN ELIA

WOH JO GEET TUM NE SUNA NAHI (Full poetry)| Amjad Islam Amjad

Kabhi Mil Tu Tujh Ko Batain Hum (Poetry) | Malik Javed Yousuf Bashir Qureshi