Koi Umeed Bar Nahi Aati (Full Poetry) By Mirza Ghalib
Koi Umeed Bar Nahi Aati Koi Umeed Bar Nahi Aati Koi Soorat Nazar Nahi Aati Moat Ka Aik Din Mo-ayeeyan Hai Neend Kyun Raat Bar Nahi Ati Agay Ati Thi Hal-e-Dil Pe Hansee Ab Kisi Baat Per Nahi Ati Jaanta Hoon Savaab-e-Taa'at-o-Zohad Per Tabiyaat Udher Nahi Ati Hai Kuch Aisee Hai Baat Jo Chup Hoon Warna Kiya Baat Ker Nahi Ati Kiyon Na Cheekhon ke Yaad Kartay Hein Meri Aavaaz gar Nahin Aati Daag-e-dil gar Nazar Nahin Aata Boo bhi ae Chaaraa-gar Nahin Aati Hum Wahan Hain Jahan say Hum Ko Bhi Kuch Hamari Khabar Nahi Ati Martay Hein Arzoo Mein Marnay Ki Moat Ati Hai Per Nahi Ati Kaba Kis Moun say Jao Gay Ghalib Sharam Tum Ko Magar Nahi Ati (Mirza Ghalib)