Posts

Showing posts from March, 2019

Kabhi Mil Tu Tujh Ko Batain Hum (Poetry) | Malik Javed Yousuf Bashir Qureshi

Image
Kabhi Mil Tu Tujh Ko Batain Hum KABHI MIL TO TUJH KO BATAI HUM TUJHA IS TARHA SA SATAIN HUM TERA ISHQ TUJH SA CHEEN KEH TUJHA MAY PILA KEH RULAIN HUM TUJHA DARD DOON TU NA SEH SAKE TUJHA DOON ZABAN TU NA KEH SAKE TUJHA DOON DOON MAKAAN TU NA REH SAKE TUJHA MUSHQILON GHIRA KEH MAIN KOI ASA RASTA NIKAL LOON TERE DARD KI MAIN DAWA KAROON KISI GHARZ KEH MAIN SIWA KARON TUJHA HAR NAZAR PA UBOOR DOON TUJHA ZINDAGI KA SHAOOR DOON KABHI MIL BHI JAINGE GHAM NA KAR HUM GIR BHI JAINGE GHAM NA KAR TERA EK HONA MAIN SHAQ NAHI MERE NIYATOON KO TU SAAF KAR MERE NIYATOON KO TU SAAF KAR TERI SHAAN MAIN BHI KAMI NAHI MERE IS KALAM KO TU MAAF KAR                      ( Malik Javed Yousuf Bashir Qureshi) Youtube LInk: https://www.youtube.com/watch?v=lm8gMskiWk4

Badalta Hai Rang Aasmaan Kaise Kaise (Full Potery) | Haider Ali Atish

Image
 Badalta Hai Rang Aasmaan Kaise Kaise Dahan Par Hain Unke Gumaan Kaise Kaise, Kalaam Aate Hain Darmiyaan Kaise Kaise, Zameen-E-Chaman Gul Khilati Hai Kya Kya, Badalta Hai Rang Aasmaan Kaise Kaise, Na Gor-E-Sikandar Hai Na Qabar-E-Dara, Mite Naamion Ke Nishaan Kaise Kaise, Bahr-E-Gulistaan Ki Hai Aamad Aamad, Ke Phirte Hain Khush Baghbaan Kaise Kaise, Tawajju Ne Teri Hamaare Maseeha, Tawaana Kijiye Naa-Tawan Kaise Kaise, Dil-O-Deeda-E-Ahl-E-Aalam Mein Ghar Hai, Tumhaare Liye Hain Makaan Kaise Kaise, Kare Jis Qadar Shukr-E-Nemat Woh Kam Hai, Mazaa Lootati Hai Zabaan Kaise Kaise                                              (Haider Ali Atish) Youtube Link : https://www.youtube.com/watch?v=7ZVWjgc64bY

MAR JAYE HUM TO KYA (Sad Poetry) | MUNIR NIAZI POETRY

Image
  MAR JAYE HUM TO KYA (Sad Poetry) Zinda rahen toh kya hai Jo mar jayen hum toh kya Duniya se khamoshi se Guzar jaayen humk toh kya Hasti hi apni kya hai zamaane ke saamne Ek khawab hain jahaan mein bikhar jaaye hum tu kya Ab kaun muntazir hai hamare liya wahan Shaam aa gayi hai laut ke ghar jaayen hum toh kya                                                       (MUNIR NIAZI) Youtube Link: https://www.youtube.com/watch?v=BjU0y560ADA

Waqt Mila To Sochaenge (Full poetry)

Waqt Mila To Sochaenge (Full poetry) Kyun tu acha lagta hai, waqt to sochenge Tujh mein kya kya dekha hai, waqt mila tu sochenge Sara sheher shanasai ka,dawedar tu hai lekin Kon hamara apna hai, waqt mila tu sochenga Hum ne usko likha tha, kuch milne ki tadbeer kro Us ne likh ker bheja hai, waqt mila tu sochenge Mosam khushbu baad-e-saba chand shafaq aur taron mein Kon tumhare jaisa hai, waqt mila to sochenge Ya to apne dil ki mano , ya phir duniya walon ki Maswara uska acha hai, waqat mila to sochenga Youtube Link:  https://www.youtube.com/watch?v=J-mhf2-pUmc

Abhi Ishq ke Imtihan Aur Bhi Hain(Full poetry)

Image
Abhi Ishq ke Imtihan Aur Bhi Hain(Full poetry) Sitaron se agay jahan aur bhi hain Abhi ishq ke imtihan aur bhi hain Tehi, Zindagi se nahin ye fazaen yahan saikron karwan aur bhi hain Qanaat na kr Alam-e-Rang-o-Bu par Chaman aur bhi ashiyan aur bhi hain Agar kho gya ek nasheeman to kya Gham Maqamat-e-Aah-o-Faghan Aur bhi hain Tu Shaheen Hai, Parwaz Hai Kaam Tera Tere Samne Asman Aur Bhi Hain Issi Roz-o-Shab Mein Ulajh Kar Na Reh Ja Ke Tere Zaman-o-Makan Aur Bhi Hain Gye Din Ke Tanha Tha Main Anjuman Mein Yahan Ab Mere Raazdaan Aur Bhi Hain                                                                              ( Allama Iqbal ) Youtube Link: https://www.youtube.com/watch?v=z-_NXyYC08I

Ghair ki baaton ka aakhir atibaar aa hi gya

Image
Ghair ki baaton ka aakhir atibaar aa hi gya Ghair ki baaton ka aakhir atibaar aa hi gya, Meri janib se tere dil mein ghubar aa hi gya Janta tha kha raha hai bewafa jhooti qasam Sadgi dekho ke phir bhi aitibaar aa hi gya Tu nahi aaya to kya hum mar gaye Chand din tarpey mager aakhir qarar aa hi gya Ji main tha aey Hashar un se ab na bolengey Bewafa jab samny aaya to payar aa hi gya                    (AGHA HASHAR KASHMIRI) Youtube Link: https://www.youtube.com/watch?v=wewsBPE1afg

Yeh Ishq nahin aasan (Full Poetry)

Image
Yeh Ishq nahin aasan (Full Poetry) Masoom mohabbat ka bas itna fasaana hai Kaghaz ki haveli hai,barish k zamana hai kya rasm-e-mohabbat hai kya sharta-e- zamana hai Awaz bhi zakhmi hai,aur geet bhi gana hai Toota hua dil apna yoon unko dikhaana hai Bheegi hui aankhon se  aik sher sunnana hai Us paar utarney ki umeed naheen rakhna  kashti bhi puraani hai aur toofan bhi aana hai Naddani mere dil ki phir ishq ke zaad par hai Phir aag ka darya hai,phir doob hi jaana hai Yeh ishq nahain aassaan ,bas itna lijiya Aik aag ka darya hai,aur doob k jaana hai                               (Poet:Jigar Moradabadi) Youtube link: https://www.youtube.com/watch?v=7ZVWjgc64bY https://www.youtube.com/channel/UCA_ydRBVT0cT5Fk8g9xl9qA