Abhi Ishq ke Imtihan Aur Bhi Hain(Full poetry)
Abhi Ishq ke Imtihan Aur Bhi Hain(Full poetry)
Sitaron se agay jahan aur bhi hain
Abhi ishq ke imtihan aur bhi hain
Tehi, Zindagi se nahin ye fazaen
yahan saikron karwan aur bhi hain
Qanaat na kr Alam-e-Rang-o-Bu par
Chaman aur bhi ashiyan aur bhi hain
Agar kho gya ek nasheeman to kya Gham
Maqamat-e-Aah-o-Faghan Aur bhi hain
Tu Shaheen Hai, Parwaz Hai Kaam Tera
Tere Samne Asman Aur Bhi Hain
Issi Roz-o-Shab Mein Ulajh Kar Na Reh Ja
Ke Tere Zaman-o-Makan Aur Bhi Hain
Gye Din Ke Tanha Tha Main Anjuman Mein
Yahan Ab Mere Raazdaan Aur Bhi Hain
(Allama Iqbal)
Kya baat hai
ReplyDeleteNice word
ReplyDelete