Badalta Hai Rang Aasmaan Kaise Kaise (Full Potery) | Haider Ali Atish
Badalta Hai Rang Aasmaan Kaise Kaise
Dahan Par Hain Unke Gumaan Kaise Kaise,
Kalaam Aate Hain Darmiyaan Kaise Kaise,
Zameen-E-Chaman Gul Khilati Hai Kya Kya,
Badalta Hai Rang Aasmaan Kaise Kaise,
Na Gor-E-Sikandar Hai Na Qabar-E-Dara,
Mite Naamion Ke Nishaan Kaise Kaise,
Bahr-E-Gulistaan Ki Hai Aamad Aamad,
Ke Phirte Hain Khush Baghbaan Kaise Kaise,
Tawajju Ne Teri Hamaare Maseeha,
Tawaana Kijiye Naa-Tawan Kaise Kaise,
Dil-O-Deeda-E-Ahl-E-Aalam Mein Ghar Hai,
Tumhaare Liye Hain Makaan Kaise Kaise,
Kare Jis Qadar Shukr-E-Nemat Woh Kam Hai,
Mazaa Lootati Hai Zabaan Kaise Kaise
(Haider Ali Atish)
Comments
Post a Comment